Aapke provident fund me kitna amount deposit hai is bare me
ab aapko online jankari mil jayegi. Employees Provident Fund Organization
(EPFO) Nov 2013 me e-passbook service ko launce kiya, jo online PF account se
judi jaankariya degi.
Benefits for EPF
Members
EPFO ke is kadam se 5 crore se zyada employees ko suvidha
milegi, waise active subscriber jinka electronic challaan cum return pahle se
hi upload hai wo har month apna e-passbook download kar sakte hain. Ye facility
http://www.epfindia.gov.in/ per
available hai.
Facilities for Non
Active Members
Jo log active nahin hai yaa jinhone job chhod di hai aur
jinka account operative nahin hai unhen bhi is facility ka fayeda mil sakta
hai. EPFO ki taraf se kaha gaya hai ki iske liye unhe bas request karni hogi.
Easy to Use
EPFO ke portal per iska koi bhi member easily khud ko
register kar sakta hai. Iske liye photo identity card (PAN, Aadhar, Driving License,
passport, voter id, etc.) aur mobile number ki zaroorat hogi. Mobile number
password ke taur per kaam karega. Registration ke baad koi bhi member kai tarah
ID jor sakta haiaur unme se kisi ek ka upyog log in karne liye kar sakta hai. Register
hone ke baad apna account number daal kar passbook download kar sakta hai.
Update Your Aadhar
Info
Aadhar card rakne wale log ab isse judi jaankariyon me me
online ya by post update kar sakte hain.
0 comments:
Post a Comment