Meer aur Ghalib ke baad jin shayeron ne Urdu Shayeri ko
taraqquiee ki rah per aage aage badhaya Josh Malihabadi unme se ek hain. Unhone
ne apni ghazalo, nazmon aur marsiyon me bahut shohrat payee. 1958 me unhone
Pakistan ki citizenship le li but unki shayeri ki nagrikta kabhi bat nahin
saki.
Pesh hain unke kuch chuninda Shair –
Kisne wada kiya hai
aane ka
Husn dekho ghareeb khaane ka
Husn dekho ghareeb khaane ka
Rooh ko aayina dikhate
hain
dar o deewar muskuraate hain
dar o deewar muskuraate hain
Ye din bahar ke ab bhi
raas na aa sake
ki gunche khil to sake, khil ke muskura na sake
ki gunche khil to sake, khil ke muskura na sake
Dil ki choton ne kabhi
chain se rahne na diya
jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya
jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya
0 comments:
Post a Comment