Ghaziabad and Noida sahit 13 Districts ke logon ko passport
banwane ke liye ab sham me 6 baje ke bajaye 7 baje apply karna karna padega.
Logon ki suvidha ko dekhe hue passport seve ne passport
application ke time changes kiye hain, new timing lagu kar di gayee hai.
Regional passport officer Sitaram Yadav ne bataya ki passport
ke aavedan ke samay ko ab ek ghanta aage kar diya gaya hai. Abhi tak online
avedan ke liye 6 PM se website kholi jaati thi. But ab sham 7 baje se normal,
tatkal and other categories me aavedan sweekar kiye jayenge.website tab tak
khuli rahegi, jabki daliy ke nirdharit avedano ki sankhya puri nahin ho jaati.
Website per adhik load rahne se server down rahne ki
pareshaani rahti thi. Sham 6 baje employees ke office ka time hota hai, jiske
chalte wo passport ke apply nahin kar paate the. Website per avedako ke
feedback me yeh baat saamne ayee thi.
Sahibabad sthit passport seva Kendra me Ghaziabad, Noida,
Bulandshahar, Panchsheel Nagar, Meerut, Baaghpat, Mathura, Agra, Saharanpur,
Mujaffar Nagar, Hathras aur Bhim Nagar ke passport bante hain.
0 comments:
Post a Comment