Indian railways ne ticket reservation ke rules me kuch badlao kiye hain. Ab railway ke ticket travel date se 60 din pahle book karaye jaa sakte hain. Ab tak 120 din yani 4 month pahle ticket book karaye jaa sakte the. New rules 1st May se laagu honge, jin logon ne pahle hi ticket book kara liye hain unper ye rule follow nahin honge.
Railway dwara jaari adhisuchna me kaha gaya ki ticket reservation agrim awadhi 1st May se 120 din se ghata kar 60 din rahegi. Jabki 30 April tak reservation current rule ke aadhar per hi hoga.
Railway ne dalalo ko wholesale me ticket book karane ki wayvastha se rokne ke iraade se ye kadam uthaya hai, because aisi shikyayate mili hain ki dalal bahut badi sankhya me ticket pahle se hi book kara lete hain.
Aam taur per normal passengers travel se ek yaa 2 month pahle ticket book karate hain.
0 comments:
Post a Comment